your favourite songs

Lighten up a little and talk about movies, music, books and recipes and more... this forum provides the flip side to the intense and serious discussion taking place in other forums. No topic is off-limit here so long as it is within the accepted norms of decency and decorum.
Hakimi
Posts: 30
Joined: Thu Aug 16, 2012 5:31 am

your favourite songs

#1

Unread post by Hakimi » Sun Aug 26, 2012 11:02 am

peace no hard feelings for this thread no matter what differences of opinion we have....


let me know what are your favorite songs. also let me know which movie is it? :wink:

I am collecting some nice songs for my collection....

abde53
Posts: 307
Joined: Mon Jan 13, 2003 5:01 am

Re: your favourite songs

#2

Unread post by abde53 » Sun Aug 26, 2012 12:23 pm

Aae Saifuddin na Jaani Ghanvo Jivo Ghano Jivo

anajmi
Posts: 13508
Joined: Wed Jan 10, 2001 5:01 am

Re: your favourite songs

#3

Unread post by anajmi » Sun Aug 26, 2012 12:40 pm

Rickshaw Aavi Rickshaw Aavi
Thali laine chali

anajmi
Posts: 13508
Joined: Wed Jan 10, 2001 5:01 am

Re: your favourite songs

#4

Unread post by anajmi » Sun Aug 26, 2012 2:42 pm

Forgot the name of the movie

Hum Sab Chor Hain.

Dbc1
Posts: 34
Joined: Fri Jul 27, 2012 9:52 pm

Re: your favourite songs

#5

Unread post by Dbc1 » Sun Aug 26, 2012 7:48 pm

Tumhe toh loot liya milke Kothar walo ne,
Salaam ki aadat ne, jannat ki Baaton ne.

Loot liya, loot liya, loot liya.. ...

:mrgreen:

Fateh
Posts: 303
Joined: Sat Feb 25, 2012 7:25 am

Re: your favourite songs

#6

Unread post by Fateh » Mon Aug 27, 2012 12:44 am

Hakimi wrote:peace no hard feelings for this thread no matter what differences of opinion we have....


let me know what are your favorite songs. also let me know which movie is it? :wink:

I am collecting some nice songs for my collection....
Film - Phir Subah Hogi
Music - Khayyam
Lyrics - Sahir
Singer - Mukesh & Asha Bhosale

Woh Subah Kabhi To Aayegi
Woh Subah Kabhi To Aayegi

In Kaali Sadiyon Ke Sar Se
Jab Raat Ka Aanchal Dhalkega
Jab Dukh Ke Badal Pighalenge
Jab Sukh Ka Sagar Chhalkega
Jab Ambar Jhoom Ke Nachega
Jab Dharti Nagme Gaayegi
Woh Subah Kabhi...

Jis Subah Ki Khatir Yug Yug Se
Hum Mar Mar Kar Bhi Jeete Hain
Jis Subah Ke Amrit Ki Dhun Mein
Hum Zehar Ke Pyaale Peete Hain
In Bhooki Pyaasi Rahon Par
Ek Din To Karam Farmayegi
Woh Subah Kabhi...

Mana Ki Kabhi Kuchh Daer
In Armaanon Ki Keemat Kuchh Bhi Nahin
Mitti Ka Bhi Hai Kuchh Mol Magar
Insaanon Ki Keemat Kuchh Bhi Nahin
Insaanon Ki Izzat Jab Jhoote
Sikkon Mein Na Toli Jayegi
Woh Subah Kabhi...

Daulat Ke Liye Jab Aurat Ki
Asmat Bechi Na Jayegi
Chaahat Ko Na Kuchla Jayega
Gairat Na Bechi Jayegi
Apni Kaali Kartuton Par
Jab Yeh Duniya Sharmayegi
Woh Subah Kabhi...

Beetenge Kabhi To Din Aakhir
Yeh Bhook Ke Aur Bekaari Ke
Tootenge Kabhi To But Aakhir
Daulat Ki Ijaredaari Ke
Jab Ek Anokhi Duniya Ki
Buniyaad Uthayi Jayegi
Woh Subah Kabhi...

Majboor Budhapa Jab Sooni
Rahon Ki Dhool Na Phekega
Masoom Ladakpan Jab Gandi
Galiyon Mein Bheekh Na Maangega
Hum Mangne Walo Ko Jis Din
Sooli Na Dikhayi Jayegi
Woh Subah Kabhi...

Faankon Ki Chitaon Par Jis Din
Insaan Jalaye Jayenge
Seene Ke Dehakte Dozakh Mein
Armaan Jalaye Jayenge
Yahan Nark Se Gandi Duniya
Jab Swarg Banai Jayegi
Woh Subah Kabhi...

Jab Dharti Karvat Badlegi
Jab Qaid Se Qaidi Chhootenge
Jab Paap Ke Gharonde Phootenge
Jab Zulm Ke Badal Chhootenge
Us Subah Ko Hum Hi Layenge
Woh Subah Hum Hi Se Aayegi

Manhoos Samaj Ke Dhache Mein
Jab Zulm Na Paale Jayenge
Jab Haath Na Kaate Jayenge
Jab Sar Na Uchhale Jaayenge
Maelon Ke Bina Jab Duniya Ki
Sarkar Chalayi Jayegi
Woh Subah Hum Hi Se Aayegi

Sansar Ke Saare Mehnat Kash
Kheton Se Millon Se Niklenge
Beghar Beghar Insaan Sabhi
Tareeq Dilon Se Niklenge
Duniya Aur Khushali Ke
Phoolon Se Sajayi Jayegi
Woh Subah Hum Hi Se Aayegi

Fateh
Posts: 303
Joined: Sat Feb 25, 2012 7:25 am

Re: your favourite songs

#7

Unread post by Fateh » Mon Aug 27, 2012 1:03 am

Yeh Mahalon, Yeh Takhton, Yeh Taajon Ki DAWAT
Yeh BOHARO Ke Dushman, Samajon Ki DAWAT
Yeh Daulat Ke Bhooke,SHEHJADO Ki DAWAT
Yeh DAWAT Agar Mil Bhi Jaaye, To Kya Hai ?

Har Ek Jism Ghayal, Har Ek Rooh Pyaasi
Nigaahon Mein Uljhan Dilon Mein Udaasi
YehDAWAT Hai Ya Aalam-E-Badhawaasi
Yeh DAWAT Agar Mil Bhi Jaaye, To Kya Hai ?

Yahan Ek Khilona HaiMOMEEN Ki Hasti
Yeh Basti Hai Murda Paraston Ki Basti
Yahan Zindagi Se Bhi Hai Maut Sasti
Yeh DAWAT Agar Mil Bhi Jaaye, To Kya Hai ?

Jawaani Bhatakti Hai Badkaar Bankar
Jawaan Jism Sajte Hain Baazar Bankar
YahaanDHARM Hota Hai Vyopar Bankar
Yeh DAWAT Agar Mil Bhi Jaaye, To Kya Hai ?

Yeh DAWAT Jahaan MOMEEN Kuchh Nahin Hai
Wafaa Kuchh Nahin Dosti Kuchh Nahin Hai
Jahan Pyaar Ki Kadr Hi Kuchh Nahin Hai
Yeh DAWAT Agar Mil Bhi Jaaye, To Kya Hai ?

Jalaa Do Ise Fooq Dalo YehDAWAT
Jalaa Do, Jalaa Do, Jalaa Do
Fooq Dalo Yeh DAWAT
Mere Samne Se Hata Lo Yeh DAWAT
Tumhari Hai Tum Hi Sambhalo Yeh DAWAT
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaaye, To Kya Hai ?

Hakimi
Posts: 30
Joined: Thu Aug 16, 2012 5:31 am

Re: your favourite songs

#8

Unread post by Hakimi » Mon Aug 27, 2012 2:08 am

losers

Al Zulfiqar
Posts: 4618
Joined: Tue Mar 28, 2006 5:01 am

Re: your favourite songs

#9

Unread post by Al Zulfiqar » Fri Sep 14, 2012 6:37 pm

1. sajda tujhe wajib hai.....

2. teri duniya se hoke majboor chala ... (sung by a disillusioned bohra declaring baraat on syedna)

3. abhi na jaao chodkar, ke tijori abhi bhari nahin .. (sung by zaada when disgusted bohras start leaving the majlis and collection falls short of targets)

4. poocho na kaise maine ashura beetayee... (sung by middle class bohra who has been thoroughly looted in muharram)

more to follow ...

ghulam muhammed
Posts: 11653
Joined: Tue Oct 07, 2008 5:34 pm

Re: your favourite songs

#10

Unread post by ghulam muhammed » Fri Sep 14, 2012 6:54 pm

Parde me rehne do, parda na uthao........... parda jo uth gaya to bhed KHUL jaayega (Dai to the hidden Imam).

Sab kuch sikha hamne na seekhi hoshiyari, sach hai duniyawalo ke hum hai anari (Abde's madeh).

Yahoo !!!!..... Chahe koi hame lootera kahe, kehne do ji kahta rahe, hum daulat ke toofano me ghire hai hum kya kare ?? (Zaadas singing in chorus).

Main tooti hui ek naiya hoon, mujhe chahe jidhar le jao, jee chahe dubo do ziafato mein ya hadiyat ke liye le jaavo. (The Dai's emotions).

Al Zulfiqar
Posts: 4618
Joined: Tue Mar 28, 2006 5:01 am

Re: your favourite songs

#11

Unread post by Al Zulfiqar » Sat Sep 15, 2012 12:40 pm

1. yahan badla wafa ka bewafai ke siva kya hai... (sung by hidden imam, complaining about dai)

2. teri meri, meri teri, prem kahani hai mushkil,
do lafzon me yeh bayan na ho paye.. (sung by the mazoon wrt to syedna)

3. ai qateebe taqdeer mujhe itna bata de,
kyun mujhse khafa hai tu, kya maine kiya hai.
auron ko khushi, mujhko khafas, dardo ranjo ghum
duniya ko hansi, aur mujhe rona diya hai.
hisse me sab ke aayi hai, mahdoode zindagi,
badbakhtiya lekin mujhe sheeshe me utaare,
zabardasti ki yeh hayati, ghoont zaharke utaare.... (sung by syedna protesting at his unduly prolonged misery)

Dbc1
Posts: 34
Joined: Fri Jul 27, 2012 9:52 pm

Re: your favourite songs

#12

Unread post by Dbc1 » Sat Sep 15, 2012 6:55 pm

Ishq bhi kiya re maula
Dard bhi liya re maula
Yun toh khush raha magar
Kuch reh gaya baaki.....

Faqr bhi kiya hai maula
Ilm bhi liya re maula
Zindagi jiya magar
Kuch reh gaya baaki

Tu nahi dikha re maula
Sab nahi BIKA re maula
Aur jahan rukha wahan pe
shaan hai khaali !!


( naraaz abde to daawat admin )


daawat admin reply to abde

naaadaaaaan parindey ghar aaja, naadaaan parindey ghar aaja.
:mrgreen:

Shabbir Kapasi
Posts: 3
Joined: Sun Oct 07, 2012 11:50 pm

Re: your favourite songs

#13

Unread post by Shabbir Kapasi » Wed Oct 10, 2012 3:52 am

abde53 wrote:Aae Saifuddin na Jaani Ghanvo Jivo Ghano Jivo
Aae Saifuddin na Jaani Ghanvo Pivo Ghano Pivo
VOHRA O NU LOHI CHHE MITHU GHANU PIVO